Dar Bada Ho To Sawali Bhi | Unki Chokhat Ho To Kasa | Mahmood Raza Qadri

  • Title

    Dar Bada Ho To Sawali Bhi | Unki Chokhat Ho To Kasa

  • Artist

    Mahmood Raza Qadri

  • Kalam Type

    Naat

Video

Audio

Dar Bada Ho To Sawali Bhi | Unki Chokhat Ho To Kasa

Lyrics

Ya Rasool Allah
Ya Habib Allah

Aata Hai Fakeero Pe Unhay Pyar Kuch Aesa
K Khud Beek Dy Aur Khud Kahy Mangty Ka Bala Ho

Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Hai


Shahinshahon Ke Muqaddar Me Kahan Zebayi
Jis Qadar Unki Ghulami Ka Kada Sajta Hai
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Hai

Ye Ghulami Kahin Kamtar Nahin Hone Deti
Unka Naukar Ho To Shahon Me Khada Sajta Hai
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Hai

Sarwar-E-Deen Ke Musalle Pe Khuda Janta Hai
Murtaza Peechhe Hon Siddiq Khada Sajta Hai
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Hai

Aise Aaqa Hoñ To Lazim Hai Ghulami Pe Ghuroor
Aisi Nisbat Ho To Phir Bol Bada Sajta Hai
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Hai


Kaan Me Hurr Ke Muqaddar Ne Ye Sargoshi Ki
Tu Nageena Hai Angoonthi Me Jada Sajta Hai
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Hai

Mola Shabbar Se Khuda Jane Sakhi Mehdi Tak
Gulshan-E-Zahra Ka Har Phool Bada Sajta Hai
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Hai


Dekh Kar Bole Ye Siddiq-O-Umar Taiba Meiñ
Dosh-e-Sarkar Pe Shabbir Pada Sajta Hai
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Hai

Mujhse Kehte Hain Yehi Ahle Mohabbat Sarwar
Naat Ka Naghma Tere Lab Pe Bada Sajta Hai
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Ha

Lyrics

یا رسول الله
یا حبیب الله

آتا ہے فقیروں پہ انہیں پیار کچھ ایسا
کہ خود بھیک دے اور خود کہے منگتے کا بلہ ہو


ان کی چوکھٹ ہو تو کاسہ بھی پڑا سجتا ہے
در بڑا ہو تو سوالی بھی کھڑا سجتا ہے

شہنشاہوں کے مقدر میں کہاں زیبائی
جس قدر ان کی غلامی کا کڑا سجتا ہے

 

یہ غلامی کہیں کم تر نہیں ہونے دیتی
اّن کا نوکر ہوں تو شاہوں میں کھڑا سجتا ہے

 

سرورِ دیں کے مصلے پہ خدا جانتا ہے
مرتضیٰ پیچھے ہو صدیق کھڑا سجتا ہے

 

ایسے آقا ہوں تو لازم ہے غلامی پہ غرور
ایسی نسبت ہو تو پھر بول بڑا سجتا ہے

 

کان میں حّر کے مقدر نے یہ سرگوشی کی
تو نگینہ ہے انگوٹھی میں جڑا سجتا ہے

مولیٰ شبّر سے خدا جانے سخی مہدی تک
گلشنِ زہرا کا ہر پھول بڑا سجتا ہے

 

دیکھ کر بولے یہ صدیق و عمر طیبہ میں
دوشۂ سرکار پہ شبیر پڑا سکتا ہے

 

مجھ سے کہتے ہیں یہی اہل محبت سرور
نعت کا نغمہ ترے لب پہ بڑا سجتا ہے